raat aai hai balaon se rihai degi
ab na diwar na zanjir dikhai degi
waqt guzra hai pa mausam nahin badla yaro
aisi gardish hai zamin KHud bhi duhai degi
ye dhundlaka sa jo hai is ko ghanimat jaano
dekhna phir koi surat na sujhai degi
dil jo TuTega to ek tarfa charaghan hoga
kitne aainon mein wo shakl dikhai degi
sath ke ghar mein tera shor bapa hai 'anwar'
koi aaega to dastak na sunai degi
Ghazal
Raat aai hai balaon se rihai degi
Anwar Masood