raste jo bhi chamak-dar nazar aate hain
sab teri oDhni ke tar nazar aate hain
koi pagal hi mohabbat se nawazega mujhe
aap to KHair samajhdar nazar aate hain
main kahan jaun karun kis se shikayat us ki
har taraf us ke taraf-dar nazar aate hain
zaKHm bharne lage hain pichhli mulaqaton ke
phir mulaqat ke aasar nazar aate hain
ek hi bar nazar paDti hai un par 'tabish'
aur phir wo hi lagatar nazar aate hain
Ghazal
Raste jo bhi chamak-dar nazar aate hain
Zubair Ali Tabish