rasta KHwab ke andar se nikalta hua tha
koi kya KHwab ke andar se nikalta hua tha
wo mahak thi ki mujhe nind si aane lagi thi
phul sa KHwab ke andar se nikalta hua tha
ye kisi KHwab ka ahwal nahin hai ki main KHwab
dekhta KHwab ke andar se nikalta hua tha
KHwab the jaise parindon ne pare bandhe hon
silsila KHwab ke andar se nikalta hua tha
mujh ko duniya ke samajhne mein zara der lagi
main zara KHwab ke andar se nikalta hua tha
nazar uThti thi jidhar bhi meri manzar manzar
zawiya KHwab ke andar se nikalta hua tha
wo nikalta hua tha KHwab-kade se apne
KHwab tha KHwab ke andar se nikalta hua tha
ek sira ja ke pahunchta tha teri yaadon tak
dusra KHwab ke andar se nikalta hua tha
kya bataun koi iman kahan laega
ki KHuda KHwab ke andar se nikalta hua tha
subh jab aankh khuli logon ki logon pe khula
jo bhi tha KHwab ke andar se nikalta hua tha
Ghazal
Rasta KHwab ke andar se nikalta hua tha
Aftab Hussain

