rah-e-talab mein kaun kisi ka apne bhi begane hain
chand se mukhDe rashk-e-ghazalan sab jaane pahchane hain
tanhai si tanhai hai kaise kahen kaise samjhaen
chashm o lab-o-ruKHsar ki tah mein ruhon ke virane hain
uf ye talash-e-husn-o-haqiqat kis ja Thahren jaen kahan
sehn-e-chaman mein phul khile hain sahra mein diwane hain
hum ko sahaare kya ras aaen apna sahaara hain hum aap
KHud hi sahra KHud hi diwane sham-e-nafas parwane hain
bil-aKHir thak haar ke yaro hum ne bhi taslim kiya
apni zat se ishq hai sachcha baqi sab afsane hain
Ghazal
Rah-e-talab mein kaun kisi ka apne bhi begane hain
Ibn-e-Safi