اردو हिंदी
Rah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-am se baDhe | Shaahi Shayari
rah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-am se baDhe

Ghazal

Rah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-am se baDhe

Ejaz Warsi

;

rah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-am se baDhe
kashmakash-e-hayat ke aur bhi hausle baDhe

kis se ye puchhiye bhala tishna-labon ko kya mila
kahne ko yun to rose hi saikDon mai-kade baDhe

koshish-e-paiham aafrin manzil ab aa gai qarib
muzhda ho aarzu-e-dil panw ke aable baDhe

aate hi us ne bazm mein ruKH pe naqab Dal li
hae wo manzar-e-hasin jaise diye jale baDhe

waqt ki aazmaishen lati hain zist par nikhaar
phulon ko dekh lijiye kanTon mein jo pale-baDhe

tabish-e-husn-e-yar ne chhin li tab-e-arz-e-shauq
jitne qarib aae wo utne hi fasle baDhe

rahon ke ruKH badal gae manzilen dur ho gain
KHizr ke eatibar par jab kabhi qafile baDhe