rah-e-talab mein aaj ye kya moajaza hua
KHwab-e-adam mein jo bhi gaya jagta hua
maidan mein haar jit ka yun faisla hua
duniya thi un ke sath hamara KHuda hua
barson ki dosti ka chalan kya se kya hua
kis munh se hum milenge agar samna hua
sadiyon ka dard waqt ki aawaz ban gaya
phir se bapa wo marka-e-karbala hua
laya hai rang KHun-e-shahidan ba-faiz-e-shauq
nazron ke samne hai gulistan khila hua
patthar bane hue the zaban de gaya hamein
ehsas ki ragon mein lahu bolta hua
rahen simaT simaT ke nigahon mein aa gain
jo bhi qadam uTha wahi manzil-numa hua
aankhon mein mishalen hain firozan dawam ki
dil mein hai teri yaad ka kanTa chubha hua
tu manzil-e-hayat se aage nikal gaya
main aa raha hun tera pata puchhta hua
jaan nazr ki to donon jahan mil gae hamein
tai marg o zindagi ka har ek marhala hua
yun dil mein aaj nur ki barish hui 'jamil'
jaise koi charagh jala de bujha hua
Ghazal
Rah-e-talab mein aaj ye kya moajaza hua
Jameel Malik