qurbaton se kab talak apne ko bahlaenge hum
Doriyan mazbut hongi chhuTte jaenge hum
tera ruKH sae ki jaanib meri aankhen su-e-mahr
dekhna hai kis jagah kis waqt mil paenge hum
ghar ke sare phul hangamon ki raunaq ho gae
KHali gul-danon se baaten karke so jaenge hum
adh-khuli takiye pe hogi ilm-o-hikmat ki kitab
waswason wahmon ke tufanon mein ghar jaenge hum
us ne aahista se 'zahra' kah diya dil khil uTha
aaj se is nam ki KHushbu mein bas jaenge hum
Ghazal
Qurbaton se kab talak apne ko bahlaenge hum
Zehra Nigaah