qurb nas nas mein aag bharta hai
wasl se iztirab baDhta hai
main faqat ek KHwab tha tera
KHwab ko kaun yaad rakhta hai
aaj ki shab shab-e-qayamat hai
dil mera be-tarah dhaDakta hai
faqr kya hai ba-dost pewastan
gham ka irfan hai aagahi kya hai
main milata hun sher-o-atish ko
fan mujhe kimiya ka aata hai
tosha-e-rah-e-ishq hai andoh
gham dilon ko qarib lata hai
sher-e-taza hai tohfa-e-shaer
mushk-e-nafa hiran ne ugla hai
qillat-e-kulfat-o-takalluf mein
rahat-e-qalb-e-na-shakeba hai
aish-e-na-paedar par nazan
aadmi kitna bhola-bhaala hai
jaan ka sarfa ho to ho lekin
sarf karne se ilm baDhta hai
kise pas-e-maraatib-e-alfaz
hashr-e-mani se qatl barpa hai
pa ke ghafil kahin na Das le tumhein
Daro us se jo tum se Darta hai
maqsad isbaat-e-zat hai us se
kya gale ka sabab bhi hota hai
sachche taKHliq-kar ki manind
unghta hai KHuda na sota hai
aab-o-rang-e-hayat hai us se
aarzu jagton ka sapna hai
mere maula-karim ne mujh ko
ghair-matbua zehn baKHsha hai
yun lage jaise parda-e-simin
aankh kya ruh ka daricha hai
kis ne dekha hai parda-e-zulmat
dil ke bhedon ko kis ne paya hai
kaun mar kar dobara zinda hua
kaun mulk-e-fana se lauTa hai
kar ke yaksar mujhe nazar-andaz
kis se dil ham-kalam rahta hai
bawajud-e-fishaar-e-shab hama-shab
husn har subh taza hota hai
har bun-e-mu bana hai parda-e-saz
dil ke taron ko kis ne chheDa hai
baat abdul-aziz-'KHalid' ki
dastan-e-amir-hamza hai
Ghazal
Qurb nas nas mein aag bharta hai
Abdul Aziz Khalid