اردو हिंदी
Qayamat rag zalim bhaw kafir gat hai ai panna | Shaahi Shayari
qayamat rag zalim bhaw kafir gat hai ai panna

Ghazal

Qayamat rag zalim bhaw kafir gat hai ai panna

Abroo Shah Mubarak

;

qayamat rag zalim bhaw kafir gat hai ai panna
tumhaare husn so dekhe so ek aafat hai ai panna

sughaD jitne hain ye ye sab tujhi ko pyar karte hain
siyane sau hai par un sau ki ek hi mat hai ai panna

laga jati hai apna danw aur mera bacha jati
tu apne kaam mein bankait aur rawat hai ai panna

teri kanchan baran si deh jis ki god mein howe
use duniya ke ayyashon mein kya daulat hai ai panna

nahin leti hamara nam hum kun yan talak bhuli
tujhe hum aur kuchh ab kya kahen rahmat hai ai panna