qasr-e-rangin se guzar bagh-o-gulistan se nikal
hai wafa-pesha tu mat kucha-e-jaanan se nikal
nikhat-e-zulf ye kis ki hai ki jis ke aage
hui KHajlat-zada bu sumbul-o-raihan se nikal
go bahaar ab hai wale roz-e-KHizan ai bulbul
yak-qalam nargis o gul jawenge bustan se nikal
imtihan karne ko yun dil se kaha hum ne raat
ai dil-e-gham-zada is kakul-e-pechan se nikal
kha ke sau pech kaha main to nikalne ka nahin
magar ai dushman-e-jaan chal tu mere han se nikal
ho pareshani se jis ki mujhe sau jamiyyat
kis tarah jaun main us zulf-e-pareshan se nikal
lakh zindan-e-pur-afat mein hota hai wo qaid
jo koi jata hai is taur ke zindan se nikal
mujh se mumkin nahin mahbub ki qata-e-ulfat
garche main jaunga is aalam-e-imkan se nikal
chah mein mujh ko ye murshid ka hai irshad 'nazir'
aabru chahe to mat chah-e-zanaKHdan se nikal

Ghazal
Qasr-e-rangin se guzar bagh-o-gulistan se nikal
Nazeer Akbarabadi