qarine se ajab aarasta qatil ki mahfil hai
jahan sar chahiye sar hai jahan dil chahiye dil hai
har ek ke waste kab ishq ki dushwar manzil hai
jise aasan hai aasan hai jise mushkil hai mushkil hai
zahe taqdir kis aaram o rahat se wo bismil hai
ki jis ke sar ka takiya der se zanu-e-qatil hai
tariq-e-ishq kuchh aasan hai kuchh hum ko mushkil hai
idhar rahbar udhar rahzan yahi manzil-ba-manzil hai
mujhe tujh se rukawaT aur tu ghairon pe mail hai
mera dil ab tera dil hai tera dil ab mera dil hai
baDha dil is qadar fart-e-KHushi se wasl ki shab ko
mujhe ye wahm tha pahlu mein ye takiya hai ya dil hai
teri talwar ke qurban ai saffak kya kahna
idhar kushte pe kushta hai udhar bismil pe bismil hai
adam mein le chala hai rahnuma-e-ishq kya mujh ko
yahi kahta hai aa pahunche hain thoDi dur manzil hai
unhen jab mehrban pa kar sawal-e-wasl kar baiTha
dabi aawaz se sharma ke wo bole ye mushkil hai
sitam bhi ho to mujh par ho jafa bhi ho to mujh par ho
mujhe is rashk ne mara wo kyun aalam ka qatil hai
masiha ne tere bimar ko dekha to farmaya
na ye jine ke qabil hai na ye marne ke qabil hai
zabardasti to dekho hath rakh kar mere sine par
wo kis dawe se kahte hain hamara hi to ye dil hai
hamare dil mein aa kar sair dekho KHub-ruyon ki
ki indr ka akhaDa hai pari-zadon ki mahfil hai
madarij-e-ishq ke tai ho saken ye ho nahin sakta
zamin se arsh tak ai be-KHabar manzil-ba-manzil hai
jhiDakte ho mujhe kyun dur hi se pas aane do
baDha kar hath dil deta hun tum samjhe ho sail hai
suna bhi tu ne ai dil kya sada aati hai mahshar mein
yahi din imtihan ka hai hamare kaun shamil hai
uDate hain maze duniya ke hum ai 'dagh' ghar baiThe
dakan mein ab to afzalganj apni aish manzil hai
Ghazal
Qarine se ajab aarasta qatil ki mahfil hai
Dagh Dehlvi