qarar dil ko sada jis ke nam se aaya
wo aaya bhi to kisi aur kaam se aaya
kisi ne puchha nahin lauTte hue mujh se
main aaj kaise bhala ghar mein sham se aaya
hum aise be-hunaron mein hai jo saliqa-e-zist
tere dayar mein pal-bhar qayam se aaya
jo aasman ki bulandi ko chhune wala tha
wahi minara zamin par dhaDam se aaya
main KHali hath hi ja pahuncha us ki mahfil mein
mera raqib baDe intizam se aaya
Ghazal
Qarar dil ko sada jis ke nam se aaya
Jamal Ehsani