اردو हिंदी
Qanaat umr-bhar ki ghar ke baam-o-dar pe rakkhi thi | Shaahi Shayari
qanaat umr-bhar ki ghar ke baam-o-dar pe rakkhi thi

Ghazal

Qanaat umr-bhar ki ghar ke baam-o-dar pe rakkhi thi

Zia Faruqi

;

qanaat umr-bhar ki ghar ke baam-o-dar pe rakkhi thi
main zer-e-asman tha dhup mere sar pe rakkhi thi

tajjub kya jo ab bhi DhunDte hain sang-e-dar koi
ki hum ne ibtida tahzib ki patthar pe rakkhi thi

wahi chehre lahu ki garm-bazari mein shamil the
jinhon ne apni gardan baDh ke KHud KHanjar pe rakkhi thi

main aashiq hun badal Dala mujhe ishq-o-qanaat ne
ujala dil mein tha duniya meri Thokar pe rakkhi thi

na jaane main kahan bhaTka kiya KHwabon ki basti mein
khuli jab aankh to dekha thakan bistar pe rakkhi thi

mere bachchon ne wo dastar bhi jaane kahan rakh di
buzurgon ki nishani thi abhi tak ghar pe rakkhi thi

wahi tahzib ab hum ko 'ziya' jine nahin deti
kabhi buniyaad jis ki hum ne mal-o-zar pe rakkhi thi