qais ka tujh mein junun jazba-e-mansur nahin
warna manzil-gah-e-dildar to kuchh dur nahin
koh-o-wadi wahi bijli wahi be-hoshi bhi
jalwa lekin wo dil-afroz sar-e-tur nahin
DhunDne jaun kise jaun to main jaun kahan
dil ke jo pas hai wo aankh bhi kuchh dur nahin
pher mein zat-o-sifat ke na sarasima ho
nahin malum ki jauhar se araz dur nahin
nazar aata nahin tujh ko to hai aankhon ka qusur
aks se shaKHs haqiqat mein zara dur nahin
jalwa-saman hai rah-e-ishq mein zarra zarra
sahab-e-zauq-e-nazar muntazir-e-tur nahin
amr-e-haq harf-e-azal hai to ye fatwe kaise
wo nai baat nahin main koi mansur nahin
jhuT sach us ko hai yaksan wo hai apni dhun ka
haq-shanasi mere naqqad ka dastur nahin
kibr hi se to azazil hai shaitan-e-rajim
aadmi hai wahi insan jo maghrur nahin
kya tamasha hai liye jate hain taqdir ka nam
aur tadbir se ek lahza bhi mazur nahin
nahin taqdir ki tahrir se inkar magar
is mein tadbir muqaddar hai jo mazkur nahin
aap taqdir sudhar jaegi tadbir to kar
kaun kahta hai ki insan ko maqdur nahin
tu awariz se awariz ki hai tujh se parwaz
tu jo mutlaq nahin muKHtar to majbur nahin
zarre zarre ko hai ek farz wadiat haq se
na samajh to koi qaisar nahin faghfur nahin
kar-gah-e-amal is dahr ko wo samjhe hain
gul-o-bulbul ke karishmon se jo matur nahin
kal main mil-jul ke rahe juz ka usi mein hai waqar
fard nachiz hai gar shamil-e-jamhur nahin
kyun khiche rahte hain ye shaiKH-o-barahman baham
dair kaba se jo haq par ho nazar dur nahin
adab-o-sher ka aalim hai wo wahdat-e-ain
ki jahan kafir-o-din-dar ka mazkur nahin
had-e-jughrafiya se sher ki duniya hai juda
dur kilas se do gaz bhi yahan tur nahin
kaif baqi hai wo is mein ki nahin jis ko KHumar
baada-e-sher koi baada-e-agur nahin
saqi-e-mast-nazar hai ye fusun ya eajaz
sab ko madhosh kiya aap to maKHmur nahin
saghar ek aur bhi de pir-e-mughan 'kaifi' ko
nashsha-e-be-KHudi-e-ishq mein wo chur nahin
Ghazal
Qais ka tujh mein junun jazba-e-mansur nahin
Dattatriya Kaifi

