اردو हिंदी
Qahr ki kyun nigah hai pyare | Shaahi Shayari
qahr ki kyun nigah hai pyare

Ghazal

Qahr ki kyun nigah hai pyare

Anand Narayan Mulla

;

qahr ki kyun nigah hai pyare
kya mohabbat gunah hai pyare

dil ko apni hi jalwa-gah samajh
aa nazar farsh-e-rah hai pyare

pher li tu ne jab se apni nazar
meri duniya siyah hai pyare

shak bhi kis par meri mohabbat par
jis ka tu KHud gawah hai pyare

teri masum si nazar ki qasam
yahi wajh-e-gunah hai pyare

do nigahen jahan pe mil jaen
ishq ki shah-rah hai pyare

munh jo si deti thi shikayat ka
ab kidhar wo nigah hai pyare

jo ba-zahir nahin meri jaanib
wo nazar be-panah hai pyare

sach bata kuchh KHafa hai tu mujh se
ya haya sadd-e-rah hai pyare

ajnabi ban rahi hai teri nazar
KHatm kya rasm o rah hai pyare

rah-e-ulfat mein Thaharna kaisa
dam bhi lena gunah hai pyare

dil si shai aur na-pasand tujhe
apni apni nigah hai pyare

nek iradon ke sang-rezon par
shah-rah-e-gunah hai pyare

lab pe aati hai jo hansi ban kar
ek aisi bhi aah hai pyare

ishq mein wo bhi ek waqt hai jab
be-gunahi gunah hai pyare

aur 'mulla' ko kya miTate ho
wo to yunhi tabah hai pyare