qasid nahin ye waqt sawal-o-jawab ka
ab haal ghair hai dil-e-KHana-KHarab ka
tum dekhne ki chiz ho dekha kare koi
ye husn ye jamal ye aalam shabab ka
tamhid-e-be-KHudi tha kahan tha hawas-o-hosh
KHalwat mein aa ke un ka ulaTna naqab ka
kya aatish-e-firaq ne dil par asar kiya
in aansuon mein mere maza hai kabab ka
hum ne to apni aankh se dekha nahin unhen
qissa suna hai hazrat-e-'shankar' ke KHwab ka

Ghazal
Qasid nahin ye waqt sawal-o-jawab ka
Shankar Lal Shankar