pyari pyari sun pyar kiye
sau laban the lab aap ayar kiye
naqsh adhrup dasan sun kar chhandun
chum chum gal upar nigar kiye
nak sun taswir karne joban par
kanchki phaD phaD tar kiye
lekh kuch hat ke iram mein pai
le kahe kuch dekhat anar kiye
KHush ho panwakh nur-e-bustan sun
sar the pak lag use singar kiye
kanTh-malan padak humailyan lya
kiye yu chhand sur ke sitar kiye
sau nabi sadqe 'qutub' dhan gal ba
raat din is gale ka haar kiye
Ghazal
Pyari pyari sun pyar kiye
Quli Qutub Shah

