اردو हिंदी
Pur-haul KHarabon se shanasai meri hai | Shaahi Shayari
pur-haul KHarabon se shanasai meri hai

Ghazal

Pur-haul KHarabon se shanasai meri hai

Roohi Kanjahi

;

pur-haul KHarabon se shanasai meri hai
hangame agar tere hain tanhai meri hai

ai husn tu har rang mein hai qabil-e-izzat
main ishq hun har haal mein ruswai meri hai

jo sath pe hai teri rasai hai usi tak
fankar hun main zist ki gahrai meri hai

hasti ke ujale hain meri aankh ka partaw
har chashma-e-pur-nur mein binai meri hai

har naqsh-e-hasin hai meri kawish ka natija
har manzar-e-dilkash mein tawanai meri hai

shaer hun sadaqat ka parastar hun 'ruhi'
har rang mein har daur ki sachchai meri hai