pukare ja rahe ho ajnabi se chahte kya ho
KHud apne shor mein gum aadmi se chahte kya ho
ye aankhon mein jo kuchh hairat hai kya wo bhi tumhein de den
bana kar but hamein ab KHamushi se chahte kya ho
na itminan se baiTho na gahri nind so pao
miyan is muKHtasar si zindagi se chahte kya ho
use Thahra sako itni bhi to wusat nahin ghar mein
ye sab kuchh jaan kar aawargi se chahte kya ho
kinaron par tumhaare waste moti baha lae
gharaunde bhi nahin toDe nadi se chahte kya ho
charagh-e-sham-e-tanhai bhi raushan rakh nahin pae
ab aur aage hawa ki dosti se chahte kya ho
Ghazal
Pukare ja rahe ho ajnabi se chahte kya ho
Zafar Gorakhpuri