اردو हिंदी
Pila saqiya arghawani sharab | Shaahi Shayari
pila saqiya arghawani sharab

Ghazal

Pila saqiya arghawani sharab

Ameer Minai

;

pila saqiya arghawani sharab
ki piri mein de naujawani sharab

wo shoala hai saqi ki ranjak ki tarah
uDa deti hai na-tawani sharab

kahan baada-e-aish taqdir mein
piyun main to ho jae pani sharab

na laya hai shisha na jam-o-subu
pilata hai saqi zabani sharab

kahan aql-e-barna kahan aql-e-pir
nae se hai behtar purani sharab

mere chehra-e-zard ke aks se
hui saqiya zafrani sharab

hue mast dekha jo phulon ka rang
piyalon mein thi arghawani sharab

kahan chashma-e-KHizr kaise KHizar
KHizar hai meri zindagani sharab

KHizar hun agar main to ja kar piyun
sar-e-chashma-e-zindagani sharab

gulistan hai phulon se kya lal lal
chale saqiya arghawani sharab

ajab saqiya gandumi rang hai
ki partaw se banti hai dhani sharab

rahe taq par parsai 'amir'
pilae jo wo yar-e-jaani sharab