phulon se bahaaron mein juda the to hamin the
kanTon ki chubhan pe bhi fida the to hamin the
bazar-e-tamanna mein to har shaKHs magan tha
har moD pe duniya se KHafa the to hamin the
jis but ko tasawwur mein KHuda man liya tha
us but ki nigahon mein KHuda the to hamin the
ahbab ko haalat ki sazish ka gila tha
har haal mein raazi-ba-raza the to hamin the
girti hui diwar ka saya tha tera sath
phir bhi teri bahon se juda the to hamin the
aaina-e-ayyam ki rangin faza mein
ai 'raaz' giraftar-e-bala the to hamin the
Ghazal
Phulon se bahaaron mein juda the to hamin the
Athar Raz