phul se masum bachchon ki zaban ho jaenge
miT bhi jaenge to hum ek dastan ho jaenge
main ne tere sath jo lamhe guzare the kabhi
aane wale mausamon mein titliyan ho jaenge
kya KHabar kis samt mein pagal hawa le jaegi
jab purane kashtiyon ke baadban ho jaenge
tujh ko shohrat ki talab uncha uDa le jaegi
dur tujh se ye zamin-o-asman ho jaenge
yaad aaegi unhen kya kya hamari be-hisi
jab hamare ahd ke bachche jawan ho jaenge
mere naghme meri KHatir kuchh bhi hon 'wali' magar
aag barsati ruton mein badliyan ho jaenge

Ghazal
Phul se masum bachchon ki zaban ho jaenge
Wali Aasi