phul sahra mein khila de koi
main akela hun sada de koi
koi sannaTa sa sannaTa hai
kash tufan uTha de koi
jis ne chaha tha mujhe pahle-pahal
us sitamgar ka pata de koi
jis se TuTe mera pindar-e-wafa
mujh ko aisi bhi saza de koi
raat soti hai to main jagta hun
us ko ja kar ye bata de koi
jo mere pas bhi hai dur bhi hai
kis tarah us ko bhula de koi
ishq ke rang liye phirta hun
us ki taswir bana de koi
dil ke KHirman mein nihan hain shoale
apne daman ki hawa de koi
phul phir zaKHm bane hain 'nasir'
phir KHizaon ko dua de koi
Ghazal
Phul sahra mein khila de koi
Nasir Zaidi