اردو हिंदी
Phul chehra aansuon se dho gae | Shaahi Shayari
phul chehra aansuon se dho gae

Ghazal

Phul chehra aansuon se dho gae

Syed Hamid

;

phul chehra aansuon se dho gae
aae the hansne chaman mein ro gae

dil ye ujDa hai ki un ki yaad ko
muddaten guzrin zamane ho gae

kis liye mahfil mein itni barhami
hum chale jate hain uTh kar lo gae

jab chalenge kaTne kal fasl ko
tab khulega aaj kya kya bo gae

koi Thahra hai kisi ke waste
kah rahe the jaenge hum so gae

DhunDte kya gosha-e-maqsud ko
rah ki ranginiyon mein kho gae

kis liye aae the yan taqdir mein
bojh Dhona jism ka tha Dho gae

chhoDna mumkin na tha stage ko
rol apna karte karte so gae

tin sathi ja rahe the sath sath
ek baqi rah gaya hai do gae

kya yahi hai dar-e-fani ki kashish
phir na lauTe us taraf ko jo gae

kar raha hai ek jahan jin ka tawaf
but-kade mein kis ke darshan ko gae

aap aazurda hue 'hamid' KHafa
lijiye donon barabar ho gae