اردو हिंदी
Phire rah se wo yahan aate aate | Shaahi Shayari
phire rah se wo yahan aate aate

Ghazal

Phire rah se wo yahan aate aate

Dagh Dehlvi

;

phire rah se wo yahan aate aate
ajal mar rahi tu kahan aate aate

na jaana ki duniya se jata hai koi
bahut der ki mehrban aate aate

suna hai ki aata hai sar nama-bar ka
kahan rah gaya armughan aate aate

yaqin hai ki ho jae aaKHir ko sachchi
mere munh mein teri zaban aate aate

sunane ke qabil jo thi baat un ko
wahi rah gai darmiyan aate aate

mujhe yaad karne se ye muddaa tha
nikal jae dam hichkiyan aate aate

abhi sin hi kya hai jo bebakiyan hon
unhen aaengi shoKHiyan aate aate

kaleja mere munh ko aaega ek din
yunhi lab par aah-o-fughan aate aate

chale aate hain dil mein arman lakhon
makan bhar gaya mehman aate aate

natija na nikla thake sab payami
wahan jate jate yahan aate aate

tumhaara hi mushtaq-e-didar hoga
gaya jaan se ek jawan aate aate

teri aankh phirte hi kaisa phira hai
meri rah par aasman aate aate

paDa hai baDa pech phir dil-lagi mein
tabiat ruki hai jahan aate aate

mere aashiyan ke to the chaar tinke
chaman uD gaya aandhiyan aate aate

kisi ne kuchh un ko ubhaara to hota
na aate na aate yahan aate aate

qayamat bhi aati thi hamrah us ke
magar rah gai ham-inan aate aate

bana hai hamesha ye dil bagh o sahra
bahaar aate aate KHizan aate aate

nahin khel ai 'dagh' yaron se kah do
ki aati hai urdu zaban aate aate