phir wahi main hun wahi shahr-badar sannaTa
mujh ko Das le na kahin KHak-basar sannaTa
dasht-e-hasti mein shab-e-gham ki sahar karne ko
hijr walon ne liya raKHt-e-safar sannaTa
kis se puchhun ki kahan hai mera rone wala
is taraf main hun mere ghar se udhar sannaTa
tu sadaon ke bhanwar mein mujhe aawaz to de
tujh ko dega mere hone ki KHabar sannaTa
us ko hangama-e-manzil ki KHabar kya doge
jis ne paya ho sar-e-rahguzar sannaTa
hasil-e-kunj-e-qafas wahm-ba-kaf tanhai
raunaq-e-sham-e-safar ta-ba-sahar sannaTa
qsimat-e-shair-e-simab-sifat dasht ki maut
qimat-e-reza-e-almas-e-hunar sannaTa
jaan-e-'mohsin' meri taqdir mein kab likkha hai
Dubta chand tera qurb-e-gajar sannaTa
Ghazal
Phir wahi main hun wahi shahr-badar sannaTa
Mohsin Naqvi