اردو हिंदी
Phir usi dhun mein usi dhyan mein aa jata hun | Shaahi Shayari
phir usi dhun mein usi dhyan mein aa jata hun

Ghazal

Phir usi dhun mein usi dhyan mein aa jata hun

Zia-ul-Mustafa Turk

;

phir usi dhun mein usi dhyan mein aa jata hun
tujhe milta hun to ausan mein aa jata hun

be-nishan ho rahun jab tak teri aawaz ke sath
phir kisi lafz sa imkan mein aa jata hun

jism se jaise talluq nahin rahta koi
beshtar dida-e-hairan mein aa jata hun

shaKH-e-gul se jo hawa hath milati hai kahin
isi asna isi dauran mein aa jata hun

tu kisi subh si aangan mein utar aati hai
main kisi dhup sa dalan mein aa jata hun