phir lauT ke dharti pe bhi aane nahin deta
wo panw KHala mein bhi jamane nahin deta
manzur nahin lamhon ki pahchan bhi us ko
aur nam daraKHton se miTane nahin deta
KHush rahta hai ujDe hue logon se hamesha
basne nahin deta wo basane nahin deta
maujon ke mujhe raaz bhi samjhata nahin wo
sahil pe safina bhi lagane nahin deta
de deta hai har bar wahi naw purani
KHwabon ko samundar mein bahane nahin deta
tamir nai chahta hai dekhna har-su
aur naqsh-e-kuhan koi miTane nahin deta
masruf bura waqt mujhe rakhta hai 'betab'
yaad achchhe dinon ki kabhi aane nahin deta
Ghazal
Phir lauT ke dharti pe bhi aane nahin deta
Pritpal Singh Betab

