phir aaj dard se raushan hua hai sina-e-KHwab
saja hua hai mere zaKHm se madina-e-KHwab
KHizan ki fasl mein jo rizq-e-wahshat-e-shab tha
luTa raha hun sar-e-shab wahi KHazina-e-KHwab
musafiran-e-shab-e-gham tumhaari KHair to hai
taDaKH ke TuT gaya kyun mera nagina-e-KHwab
haqiqaton ke bhanwar se koi nikale phir
rawan kare meri jaanib koi safina-e-KHwab
bana diya teri sohbat ne be-adab in ko
koi sikhae in aankhon ko ab qarina-e-KHwab
koi to ho ki jo mujh ko fareb-e-paiham de
wo koi husn-e-haqiqat ho ya hasina-e-KHwab
ye aankh hai hama-dam gardish-e-tajassus mein
talash karti hai mujh mein koi dafina-e-KHwab
fishaar-e-nim-shabi se ab in dinon 'shahid'
hai chaak chaak meri jaan qaba-e-sina-e-KHwab
Ghazal
Phir aaj dard se raushan hua hai sina-e-KHwab
Shahid Kamal

