اردو हिंदी
Phir aai fasl-e-gul phir zaKHm-e-dil rah rah ke pakte hain | Shaahi Shayari
phir aai fasl-e-gul phir zaKHm-e-dil rah rah ke pakte hain

Ghazal

Phir aai fasl-e-gul phir zaKHm-e-dil rah rah ke pakte hain

Bhartendu Harishchandra

;

phir aai fasl-e-gul phir zaKHm-e-dil rah rah ke pakte hain
magar dagh-e-jigar par surat-e-lala lahakte hain

nasihat hai abas naseh bayan nahaq hi bakte hain
jo bahke duKHt-e-raz se hain wo kab in se bahakte hain

koi ja kar kaho ye aaKHiri paigham us but se
are aa ja abhi dam tan mein baqi hai sisakte hain

na bosa lene dete hain na lagte hain gale mere
abhi kam-umr hain har baat par mujh se jhijakte hain

wo ghairon ko ada se qatl jab bebak karte hain
to us ki tegh ko hum aah kis hairat se takte hain

uDa lae ho ye tarz-e-suKHan kis se batao to
dam-e-taqdir goya bagh mein bulbul chahakte hain

'rasa' ki hai talash-e-yar mein ye dasht-paimai
ki misl-e-shisha mere panw ke chhaale jhalakte hain