اردو हिंदी
Pattharon par wadiyon mein naqsh-e-pa mera bhi hai | Shaahi Shayari
pattharon par wadiyon mein naqsh-e-pa mera bhi hai

Ghazal

Pattharon par wadiyon mein naqsh-e-pa mera bhi hai

Aslam Mahmood

;

pattharon par wadiyon mein naqsh-e-pa mera bhi hai
raston se manzilon tak silsila mera bhi hai

panw us ke bhi nahin uThte mere ghar ki taraf
aur ab ke rasta badla hua mera bhi hai

habs ke aalam mein bhi zinda hun teri aas par
ai hawa-e-taza darwaza khula mera bhi hai

baadalon se ai zamin tu hi nahin hai na-umid
raegan sa ab ke kuchh harf-e-dua mera bhi hai

be-basarat shahr mein be-chehragi ke darmiyan
ek diya jalta hua ek aaina mera bhi hai

dekhta hun main bhi sab ke sath duniya ko magar
ek alag zauq-e-nazar ek zawiya mera bhi hai

tirgi mein aaj agar main hun to ho sakta hai kal
dastaras mein chand ho aaKHir KHuda mera bhi hai