patte tamam halqa-e-sarsar mein rah gae
hum shaKH-e-sabz mein shajar-e-tar mein rah gae
likh lena is qadar wo safine nahin mere
sahil pe rah gae jo samundar mein rah gae
us lazzat-e-safar ko main ab un se kya kahun
jo saya-ha-e-sarw-o-sanobar mein rah gae
aasar-e-yak-KHaraba-e-abaad ho ke hum
sinon mein rah na pae to patthar mein rah gae
bahar hi chhoD aae wo chehra jo KHas tha
ek aam aadmi ki tarah ghar mein rah gae
ruswa unhen badan ke taqazon ne kar diya
kya log the jo TuT ke pal bhar mein rah gae
tum to ana ka ek jazira ho soch lo
aise kai jazire samundar mein rah gae
Ghazal
Patte tamam halqa-e-sarsar mein rah gae
Rauf Khair

