اردو हिंदी
Pas-e-tark-e-ishq bhi umr-bhar taraf-e-mizha pe tari rahi | Shaahi Shayari
pas-e-tark-e-ishq bhi umr-bhar taraf-e-mizha pe tari rahi

Ghazal

Pas-e-tark-e-ishq bhi umr-bhar taraf-e-mizha pe tari rahi

Aziz Qaisi

;

pas-e-tark-e-ishq bhi umr-bhar taraf-e-mizha pe tari rahi
meri kisht-e-jaan bhi ajib hai ki KHizan ke sath hari rahi

kai bar daur-e-kasad mein gire mehr-o-mah ke dam bhi
magar ek qimat-e-jins-e-dil jo khari rahi to khari rahi

na wo rasm-e-pardagi-e-wafa na chhupa chhupa sa payam hai
na shamim-o-gul se kalam hai na saba ki nama-bari rahi

main tahi-nasib sahi magar meri chashm-e-nam ko dua to de
teri mang ai shab-e-zindagi sada motiyon se bhari rahi

sar-e-dasht-e-tar guzar len kisi taur raat ye umr ki
na lagegi aankh agar yun hi hamein fikr-e-shab-basri rahi