pas-e-nigah koi lau bhaDakti rahti hai
ye raat mere badan par sarakti rahti hai
main aap apne andheron mein baiTh jata hun
phir is ke baad koi shai chamakti rahti hai
nadi ne panw chhue the kisi ke us ke baad
ye mauj-e-tund faqat sar paTakti rahti hai
main apne paikar-e-KHaki mein hun magar meri ruh
kahan kahan meri KHatir bhaTakti rahti hai
daraKHt-e-dil pe hui thi kabhi wo barish-e-lams
ye shaKH-e-zaKHm har ek pal mahakti rahti hai

Ghazal
Pas-e-nigah koi lau bhaDakti rahti hai
Salim Saleem