اردو हिंदी
Partaw paDa jo aariz-e-gulgun-e-yar ka | Shaahi Shayari
partaw paDa jo aariz-e-gulgun-e-yar ka

Ghazal

Partaw paDa jo aariz-e-gulgun-e-yar ka

Arshad Ali Khan Qalaq

;

partaw paDa jo aariz-e-gulgun-e-yar ka
uTha tanur-e-lala se tufan bahaar ka

ham-chashm lala hai jo dil-e-dagh-dar ka
nargis ko hum sa aariza hai intizar ka

likhta hai wasf shoala-e-ruKHsar-e-yar ka
ja-e-waraq ho hath mein patta chinar ka

bimar-e-ishq hun lab-o-dandan-e-yar ka
nusKHe mein mere chahiye sharbat anar ka

rishte ki tarah se dur-e-dandan ka tere zar
sakin hai kucha-e-guhar-e-ab-dar ka

aasar-e-ishq-e-KHak se bhi apne hain ayan
be-wajh rang zard nahin hai ghubar ka

har zarra apni KHak ka hai chashm-e-intizar
yarab idhar bhi ho guzar us shahsawar ka

hum aasiyon ko baad-e-fana bhi ye KHauf hai
taKHta ulaT na jae zamin-e-mazar ka

kaliyan talak na nikli thin jab se asir hun
dekha maza na kuchh chaman-e-rozgar ka

chashman-e-yar karne lagin hain dilon ko said
in aahuon ko shauq hua hai shikar ka

wo dil-jale hain shoala-e-jawwala ban gaya
uTTha jo gard-e-baad hamare ghubar ka

yaad-e-mizha ne bagh-e-dil-e-dagh-dar mein
khaTka laga diya KHalish-e-nok-e-KHar ka

kushta hun ek tark ke tir-e-nigah ka
andaz-e-murgh dil mein hai zaKHmi shikar ka

raKHt-e-safed surat-e-mina-e-mai hai surKH
kya rang phuT nikla hai andam-e-yar ka

phulon ki ja pyala ho labrez phul se
tija hai mai-kasho 'qalaq'-e-baada-KHwar ka