اردو हिंदी
Partaw-e-saghar-e-sahba kya tha | Shaahi Shayari
partaw-e-saghar-e-sahba kya tha

Ghazal

Partaw-e-saghar-e-sahba kya tha

Asrar-ul-Haq Majaz

;

partaw-e-saghar-e-sahba kya tha
raat ek hashr sa barpa kya tha

kyun jawani ki mujhe yaad aai
main ne ek KHwab sa dekha kya tha

husn ki aankh bhi namnak hui
ishq ko aap ne samjha kya tha

ishq ne aankh jhuka li warna
husn aur husn ka parda kya tha

kyun 'majaz' aap ne saghar toDa
aaj ye shahr mein charcha kya tha