parastish-e-gham ka shukriya kya tujhe aagahi nahin
tere baghair zindagi dard hai zindagi nahin
dekh ke KHushk o zard phul dil hai kuchh is tarah malul
jaise meri KHizan ke baad daur-e-bahaar hi nahin
daur tha ek guzar chuka nasha tha ek utar chuka
ab wo maqam hai jahan shikwa-e-be-ruKHi nahin
ishrat-e-KHuld ke liye zahid-e-kaj-nazar jhuke
mashrab-e-ishq mein to ye jurm hai bandagi nahin
tere siwa karun pasand kya teri kaenat mein
donon jahan ki nematen qimat-e-bandagi nahin
lakh zamana zulm Dhae waqt na wo KHuda dikhae
jab mujhe ho yaqin ki tu hasil-e-zindagi nahin
dil ki shaguftagi ke sath rahat-e-mai-kada gai
fursat-e-mai-kashi to hai hasrat-e-mai-kashi nahin
ashk-e-rawan ki aab-o-tab kar na awam mein KHarab
azmat-e-ishq ko samajh girya-e-gham hansi nahin
arsa-e-furqat-o-firaq aisa tawil to na tha
bhul rahe ho tum mujhe main koi ajnabi nahin
zaKHm pe zaKHm kha ke ji apne lahu ke ghunT pi
aah na kar labon ko si ishq hai dil-lagi nahin
ek wo raat thi ki jab tha mere ghar wo mahtab
ek ye raat hai ki ab chand hai chandni nahin
muzhda ki na-murad-e-ishq teri ghazal ka hai wo rang
wo bhi pukar uThe ki ye sehr hai shairi nahin
Ghazal
Parastish-e-gham ka shukriya kya tujhe aagahi nahin
Ehsan Danish