paimana tere lab hain aankhen teri mai-KHana
jis ne bhi tujhe dekha tera hua diwana
is tarah badal jaana ek pal mein tera saqi
har shaKHs bulata hai kah kar tujhe begana
mashhur zamane mein hai dariya-dili teri
ek jam de mujh ko bhi ai saqi-e-mastana
ai shama teri lau mein wo kaun si KHubi hai
jo tujh se gale mil kar jal jata hai parwana
jo pas hai 'sagar' ke sab kuchh hai tera saqi
jaan bhi tera tohfa hai dil bhi tera nazrana

Ghazal
Paimana tere lab hain aankhen teri mai-KHana
Sagar Jalalabadi