اردو हिंदी
Pani ki tarah ret ke sine mein utar ja | Shaahi Shayari
pani ki tarah ret ke sine mein utar ja

Ghazal

Pani ki tarah ret ke sine mein utar ja

Rasheed Qaisrani

;

pani ki tarah ret ke sine mein utar ja
ya phir se dhuan ban ke KHalaon mein bikhar ja

lahra kisi chhitnar pe o mit hawa ke
sukhe hue patton se dabe panw guzar ja

chaDhti hui is dhup mein saya to Dhalega
ehsan koi ret ki diwar pe dhar ja

bujhti hui ek shab ka tamashai hun main bhi
ai subh ke tare meri palkon pe Thahar ja

lahraega aakash pe sadiyon tera paikar
ek bar meri ruh ke sanche mein utar ja

is ban mein raha karti hai parchhain sada ki
ai raat ke rahi tu zara tez guzar ja

us par chala hai to 'rashid' apna asasa
behtar hai kisi aankh ki dahliz pe dhar ja