اردو हिंदी
Pan ki surKHi nahin lab par but-e-KHun-KHwar ke | Shaahi Shayari
pan ki surKHi nahin lab par but-e-KHun-KHwar ke

Ghazal

Pan ki surKHi nahin lab par but-e-KHun-KHwar ke

Bahadur Shah Zafar

;

pan ki surKHi nahin lab par but-e-KHun-KHwar ke
lag gaya hai KHun-e-ashiq munh ko is talwar ke

KHal-e-ariz dekh lo halqe mein zulf-e-yar ke
mar-e-mohra gar na dekha ho dahan mein mar ke

anjum-e-taban falak par jaanti hai jis ko KHalq
kuchh sharare hain wo meri aah-e-atish-bar ke

tuba-e-jannat se us ko kaam kya hai hur-wash
jo ki hain aasuda sae mein teri diwar ke

puchhte ho haal kya mera qimar-e-ishq mein
jhaD baiTha hath main naqd-e-dil-o-din haar ke

ye hui tasir ishq-e-koh-kan se sang-e-ab
ashk jari ab talak chashmon se hain kohsar ke

hai wo be-wahdat ki jo samjhe hai kufr o din mein farq
rakhti hai tasbih rishta tar se zunnar ke

wada-e-didar jo Thahra qayamat par to yan
roz hoti hai qayamat shauq mein didar ke

hoshiyari hai yahi kije 'zafar' is se hazar
dekhiye jis ko nashe mein baada-e-pindar ke