pai na koi manzil pahunchin na kahin rahen
bhaTka ke rahin mujh ko aawara guzargahen
aalam-e-zamana se chhuTen to tujhe chahen
masruf-e-mashaqqat hain hasrat se bhari banhen
sahra hi se guzri thin khoi gain jo rahen
batlaenge ye chashme ye ban ye charagahen
shamshir ki zad par hain kuchh aur hamin jaise
hangam-e-taqaza kya ai dil wo jise chahen
kya rup badalte hain taswir mein Dhalte hain
aankhon mein ruke aansu sine mein dabi aahen
ab kaun kahe tara TuTa to kahan pahuncha
aazad ki har duniya barbaad ki sau rahen
ab nam gham-e-dil ka taswir o qalam tak hai
tufan ne safinon mein DhunDi hain panah-gahen
tashhir-e-junun kahiye ya zauq-e-suKHan 'haqqi'
arzan hain mere aansu ruswa hain meri aahen
Ghazal
Pai na koi manzil pahunchin na kahin rahen
Shaanul Haq Haqqi

