pae hue is waqt ko khona hi bahut hai
nind aae to is haal mein sona hi bahut hai
itni bhi faraghat hai yahan kis ko mayassar
ye ek taraf baiTh ke rona hi bahut hai
tujh se koi filhaal talab hai na tamanna
is shahr mein jaise tera hona hi bahut hai
hum oDh bhi lete hain ise waqt-e-zarurat
hum ko ye mohabbat ka bichhauna hi bahut hai
ugta hai ki miTTi hi mein ho jata hai miTi
is bij ka is KHak mein bona hi bahut hai
KHush-haal bhi ho sakta hun main chashm-e-zadan mein
mere liye us jism ka sona hi bahut hai
apne liye in chand sitaron ko sar-e-sham
is shaKH-e-tamasha mein pirona hi bahut hai
pahle hi bahut KHak uDai hai yahan par
mere liye is dasht ka kona hi bahut hai
dariya ki rawani ko 'zafar' chhoDiye filhaal
thoDa sa ye honTon ko bhigona hi bahut hai
Ghazal
Pae hue is waqt ko khona hi bahut hai
Zafar Iqbal