pa-ba-gil sab hain rihai ki kare tadbir kaun 
dast-basta shahr mein khole meri zanjir kaun 
mera sar hazir hai lekin mera munsif dekh le 
kar raha hai meri fard-e-jurm ko tahrir kaun 
aaj darwazon pe dastak jaani pahchani si hai 
aaj mere nam lata hai meri tazir kaun 
koi maqtal ko gaya tha muddaton pahle magar 
hai dar-e-KHema pe ab tak surat-e-taswir kaun 
meri chadar to chhini thi sham ki tanhai mein 
be-ridai ko meri phir de gaya tashhir kaun 
sach jahan pa-basta mulzim ke kaTahre mein mile 
us adalat mein sunega adl ki tafsir kaun 
nind jab KHwabon se pyari ho to aise ahd mein 
KHwab dekhe kaun aur KHwabon ko de tabir kaun 
ret abhi pichhle makanon ki na wapas aai thi 
phir lab-e-sahil gharaunda kar gaya tamir kaun 
sare rishte hijraton mein sath dete hain to phir 
shahr se jate hue hota hai daman-gir kaun 
dushmanon ke sath mere dost bhi aazad hain 
dekhna hai khinchta hai mujh pe pahla tir kaun
 
        Ghazal
Pa-ba-gil sab hain rihai ki kare tadbir kaun
Parveen Shakir

