oDhi rida-e-dard bhi haalat ki tarah
tarikiyon mein Dub gae raat ki tarah
shewa nahin ki shola-e-gham se karen gurez
har zaKHm hai qubul nai baat ki tarah
nind aa rahi hai karb ki aaghosh mein mujhe
sine pe dast-e-gham hai tere hat ki tarah
main apne aap se kabhi bahar na aa saka
uljha raha hun KHud main KHayalat ki tarah
hairan hun ki KHud ko bhi pahchanta nahin
jazbe badal rahe hain rusumat ki tarah
wo dauD hai ki apni hawa bhi na chhu sakun
uDti hai meri fikr bhi lamhat ki tarah
kya gul khilae meri udasi ki lahr ne
zehnon ke reg-zar mein barsat ki tarah
kya bastiyon ka zikr ki ehsas ki tapish
jangal jala gai mere jazbaat ki tarah
kya KHub aashna hain ki pahchante nahin
jab bhi mile to pahli mulaqat ki tarah
duniya ka dard apne dukhon mein sameT kar
mahsus kar raha hun gham-e-zat ki tarah
ahbab kis KHulus se 'zulfi' meri ghazal
rakhte hain dil ke taq mein saughat ki tarah

Ghazal
ODhi rida-e-dard bhi haalat ki tarah
Saif Zulfi