nur-e-iman surma-e-chashm-e-dil-o-jaan kijiye
parda-dar-e-husn-e-yakta chashm-e-hairan kijiye
mushkilat-e-rah ko himmat se aasan kijiye
tai fana ki manzilen uftan-o-KHizan kijiye
be-hijabana KHud-arai ke saman kijiye
mazhar-e-shan-e-tajalli bazm-e-imkan kijiye
hain man-o-tu jalwa-e-ha-e-husn-e-wahdat ka hijab
sham-e-bazm-e-KHud-shanasi nur-e-irfan kijiye
jalwa-ha-e-tur ki takrar ya tajdid ho
lan-tarani se masawi kufr-o-iman kijiye
shirk gar manzur hai aur hai anal-haq na-qubul
dar par mansur ko khichwaiye han kijiye
KHud-numai naz hai andaz KHud-araiyan
jalwa-e-jaan se munawwar qalb-e-insan kijiye
kaif-e-masti mein ki irfan-e-junun mein al-gharaz
wa har ek band-e-naqab-e-ru-e-jaanan kijiye
kar diya rahmat ne nurani mera zulmat-kada
nosh-e-jaan jam-e-safa se aab-e-haiwan kijiye
rahrawan-e-jada-e-ishq-o-fana mansur hain
aarzu-ha-e-do-alam un pe qurban kijiye
hum hain hindi aur hamara mulk hai hindostan
hind mein paida tasawwuf ke zaban-dan kijiye
mastiyan 'sahir' ki hain jam-e-mai-e-tauhid se
ho sake to aise kafir ko musalman kijiye

Ghazal
Nur-e-iman surma-e-chashm-e-dil-o-jaan kijiye
Sahir dehlavi