اردو हिंदी
Nur-afshan hai wo zulmat mein ujalon ki tarah | Shaahi Shayari
nur-afshan hai wo zulmat mein ujalon ki tarah

Ghazal

Nur-afshan hai wo zulmat mein ujalon ki tarah

Arsh Sahbai

;

nur-afshan hai wo zulmat mein ujalon ki tarah
hum ne puja hai jise dil se shiwalon ki tarah

KHun-e-ummid hua KHun-e-tamanna gahe
dil chhalakta hi raha mai ke piyalon ki tarah

zindagi tere taghaful ki bhi had hai koi
is qadar naz na kar zohra-jamalon ki tarah

jab faramosh karenge hamein duniya wale
aur ubhar aaenge hum dil mein KHayalon ki tarah

dil to kya chiz hai hum ruh mein utre hote
tum ne chaha hi nahin chahne walon ki tarah

'arsh' be-baki-o-haq-goi hai mazhab apna
hum na badlenge kabhi waqt ki chaalon ki tarah