numayan donon jaanib shan-e-fitrat hoti jati hai
unhen mujh se mujhe un se mohabbat hoti jati hai
meri sham-e-alam subh-e-masarrat hoti jati hai
ki har lahza tere milne ki surat hoti jati hai
nigahen muztarib utra hua chehra zaban sakit
jo thi apni wahi ab un ki haalat hoti jati hai
na kyun hon is ada par ishq ki KHuddariyan sadqe
unhen rudad-e-gham sun sun ke hairat hoti jati hai
kahin raaz-e-mohabbat aasman par bhi na khul jae
mujhe aah-o-fughan karne ki aadat hoti jati hai
mohabbat hi mein milte hain shikayat ke maze paiham
mohabbat jitni baDhti hai shikayat hoti jati hai
'shakil' un ki judai mein hai lutf-e-zindagi zail
nazar be-kaif afsurda tabiat hoti jati hai
Ghazal
Numayan donon jaanib shan-e-fitrat hoti jati hai
Shakeel Badayuni