اردو हिंदी
Nit-nae rang mein nikalta hun | Shaahi Shayari
nit-nae rang mein nikalta hun

Ghazal

Nit-nae rang mein nikalta hun

Pritpal Singh Betab

;

nit-nae rang mein nikalta hun
apne KHwabon ke sath chalta hun

tare apne safar mein rahte hain
aur main apni rah chalta hun

gumrahi rah KHud nikalti hai
nae raston pe jab nikalta hun

dur rahta hun shah-rahon se
aur pagDanDiyon pe chalta hun

panw apne hain laghzishen apni
KHud hi girta hun KHud sambhalta hun

barf rahta hun sard lamhon mein
dhup ke sath bah nikalta hun

main hi qaus-e-quzah mein hun 'betab'
mausamon mein bhi main badalta hun