nishtaron par jism sara rakh diya
zaKHm par lafzon ka phaha rakh diya
raat ki bhigi hui diwar par
main ne ek raushan sitara rakh diya
raat tum ne raushni ke khel mein
kyun mere sae pe saya rakh diya
main ne wo patwar bhi lauTa diye
bich dariya ke kinara rakh diya
phul the in mein magar KHushbu na thi
lafz ko sungha uThaya rakh diya
dushmani achchhi nikali waqt ne
bojh in kandhon pe kaisa rakh diya
sab tamasha khel sara us ka tha
nam nahaq hi hamara rakh diya
Ghazal
Nishtaron par jism sara rakh diya
Mushaf Iqbal Tausifi

