nishan ilm-o-adab ka ab bhi hai ujDe dayaron mein
ki 'salim' aur 'muztar' hain purani yaadgaron mein
gharaz 'kaifi'-o-'shair' 'sail'-o-'beKHud' 'hasan' 'shaida'
alam hain arsa-e-ilm-o-adab ke shahsawaron mein
'nasim' o 'barq' o 'raunaq' 'ghaus' o 'kaifi' 'azmi' o 'mahir'
'sharar' aur 'zar'-o-'moajiz' namwar hain sehr-karon mein
'mubin' 'yakta' 'qamar' 'aKHlaq' 'shauq' aur 'shakir'-o-'ghafil'
'munir'-o-'shams' sab hain ilm-o-fan ke dost-daron mein
'quraishi' 'wahidi' 'asif-baqai' aur 'hasan-KHwaja'
hain ahd-e-hazira mein sab adab ke puKHta-karon mein
'said' o 'yas' o 'wahshi' 'amn' aur 'mahmud' aur 'akbar'
nahin go dehli wale dehlawi hain istiaron mein
'munawar' 'muntazir' 'barakat' 'jari' 'fani' 'adib' 'ashiq'
'nihaal' aur 'fikr' aate hain isi mad ke shumaron mein
hamari dars-gahon mein adab ke 'nazim'-o-'nashir'
KHuda rakkhe nazar aate hain aksar honhaaron mein
'ali' o 'talib' o 'shaida' o 'taban' 'saqi' o 'mail'
hua taraj gulshan jab KHizan aai bahaaron mein
'firaq' aur 'mir' 'nasir' aur 'siri-ram' ab kahan 'sahir'
ki the ilm-o-adab ke behtarin KHidmat-guzaron mein

Ghazal
Nishan ilm-o-adab ka ab bhi hai ujDe dayaron mein
Sahir dehlavi